Friday 3 November 2017

Kisi Bhi Image, Video, File Ya Document Ko Computer Se Mobile Main Send Karne Ke Easy Tarike ~ tips arena

Welcome To Tips Arena

Hey guys how are you all hope aap sabhi thik honge or bhagwan kare ki aap humesha khush or happy rahe, friends aaj hum aapko batane wale hain ek aisi trick jo aajkal bhot hi use ki jane wali cheejo main se ek hai.
Friends computer or phone humari life ka ab vo part ban chuka hai jisse bina hum kisi bhi kaam ko karne ke bare main soch bhi nahi sakte hain in chijo ki aawasyakta hume kahi na kahi padti hi hai, dosto kabhi kabhi hume computer se koi Photo, Video, file ya koi bhi document apne phone main daalne ki jarurat padti hai to kabhi kabhi samajh nahi pate ki hum is kaam ko kaise kare ? Halaki ye kaam itna muskil nahi hai isko kuch aasan se karya karke hum kar sakte hain, aayiye jane ki kaise hum apne computer main se kisi bhi file ya document ko apne phone main send kar sakte hain.

https://mkbloggers.blogspot.in/


Friends bhot sare aise tarike hain jisse hum aasani se computer se phone main koi bhi data share kar sakte hain inme se kuch hain :-


Bluetooth ki help se data ko computer se mobile par send kare

Friends aajkal almost sabhi ke phone main bluetooth paya jata hai or agar aapke Computer (Laptop) main bluetooth hai to aap iski help se data share kar sakte hain.

https://mkbloggers.blogspot.in/







Memory Card ki help se data ko computer se mobile par send kare

Friends agar aapke paas memory card hai to usb card reader ko computer ya laptop main lagakar iski  sahayeta se data share kar sakte hain.

https://mkbloggers.blogspot.in/






Data Cable ki help se data ko computer se mobile par send kare

Friends ye ek aisa tarika hai jisko data share karne ke liye world main sabse jada use kiya jata hai, ye bohut hi simple tarika hai USB data cable ko apne phone or system main lagakar isse data share kiya jata hai.

https://mkbloggers.blogspot.in/






Email ki help se data ko computer se mobile par send kare

Ye ek aisa tarika hai jisme data ko share karne ke hume internet connection ki aawasyakta hoti hai, isse data share karne ke liye aapko apni Email id jispe data share karna chahte hain ko apne laptop ya computer main dalna hoga or send mail karna hoga jab mail send ho jayega to mail aapke phone par aa jayega aap us data ko apne phone main download kar sakte hain.

https://mkbloggers.blogspot.in/



Online data backup ki help se data ko computer se mobile par send kare

Friends aajkal internet par bohut sari applications or software hain jinki sahayeta se aap apne data ko waha par store kar sakte hain or download bhi kar sakte hain. isse data share karne ke liye aapko same application ya software phone or computer main dalkar data upload karna hoga or fir download karna hoga.


https://mkbloggers.blogspot.in/



Final Words

Friends ye thi humari aaj ki Tips and Tricks hum aasha karte hain ki is post se aap ab ye seekh chuke honge ki kaise hum computer se phone main koi bhi data share kar sakte hain, dosto aapko humari post pasand aayi ho to please share jarur kijiyega or post se related aapko koi bhi problem aa rahi ho ya aap hume koi bhi suggestion dena chahte ho to comment box main comment jarur kijiye. Thanks..



Please Share This Post

Team Tips Arena

1 comment:

  1. Very nic article keep growing. for more article's like this and other study material, programmig language free training, latest tips and tricks, sports and politics news and much more visit to https://searchofia.blogspot.in/

    ReplyDelete