Friday 20 October 2017

Revenuehits Ads Network Se Paise Kamane Ka Tarika ~ Search How

Welcome To Search How

Hello friends firse swagat hai aapka humare blog Search How main friends baki days ki trah aaj bhi hum ek aise tips and tricks lekar aaye hain jisse aapko kafi fayeda milne wala hai.
Friends aaj hum aapko batayenge online paise kaise kamaye kyunki friends aaj ke daur main online income ek bohut hi accha vikalp hai, hum thoda sa hard work karke apne ghar bethe hi paise kama sakte hain.
Friends aaj ka humara topic hai Revenuehits Ads Network ke bare main, friends iske through aap bina kisi jada hard work or bina kisi problem ke ghar baithe paise kama sakte hain,
Revenuehits se ghar baithe paise kaise kamaye aayiye jaante hain.

Dosto agar baat ki jaye online paise kamane ki to Google Adsense se better option koi nahi hai, lekin friends google adsense aasani se approve nahi hota hai uske liye kafi sare kaam karne padte hain. or friends hum baat kar rahe hain Revenuehits Ads Network ki to online paise kamane ke mamle main ye option Google Adsense ke baad kafi acchha mana jata hai, ye ad network bhi hume kafi acchi income kara sakta hai.

mkbloggers.blogspot.com




Revenuehits Kya Kyu Kaise ?


Friends kafi logo ka maanna hai ki google adsense ke baad agar unko koi ads network accha laga hai to vo hai RevenueHits, friends revenuehits ki suruwat Year 2008 main MyAdsWise Ltd. ne ki thi, ye ek aisa ads network hai jo ki Cost-per-aquisition (CPA) par based hai. webites ya blog main visiter ke through kiye gaye visit par paise deta hai. website or blog main dikh rahe revenuehits ads par visitors ke through kiye gaye click ka bhi hume paisa milta hai.

Revenuehits Ke Fayede
Friends agar hum baat kare revenuehits ke fayede ke bare main to hum aapko batana chahte hain ki ye kafi adhik fayedemand hai. kyunki :-


  • Revenuehits jo ads hume provide karta hai usko hum apne website or blog ke height or width ke anusar adjust kar sakte hain ye humare blog or website main kuch is trah fit ho jate hain jisse ki kisi bhi viewer ko ye ehsas nhi hota ki ye ads alag se lagaye gaye hain.



  • Friends agar hum baat kare revenuehits ke CPM rates ke bare main to iska jo CPM Rate hai vo other network ki tulna main kafi jada hai, jo ki blog or website owner ke liye bohut fayedemand hai.



  • Revenuehits ka minimum payout 20$ hai.



  • Revenuehits ka Signup Process kafi accha hai kyunki kuch ads network aise hote hain jo kuch jada time ho jane par bhi approval nahi dete hain lekin Revenuehits ye suvidha turant provide karta hai iska approval turant ho jata hai.


RevenueHits Ads Format

Friends ab hum agar baat kare revenuehits ke ads format ki to ye hume 8 format ads provide karta hai.


  • Slider
  • Button
  • 468*60 Footer
  • 728*90 Footer
  • Banner
  • Interstitial
  • Popunder
  • Shadowbox


mkbloggers.blogspot.com


Revenuehits hume mobile format ads bhi provide karta hai ye hain kuch revenuehits mobile format ads jo hume benefit de sakte hain.

mkbloggers.blogspot.com





Revenuehits Payments Withdrawal

Friends revenuehits ads network se agar hum payment nikalna chahte hain to Revenuehits ad network hume kafi acchhi suvidha deta hai, hum payment ko Paypal, Payoneer, or Wiretransfer ke through payment payout kar sakte hain.



Final Words

Friends ye thi Search How ki aaj ki Tips and Tricks friends agar aapko humari ye post pasand aayi ho ya aap hume koi suggestion dena chahte hain to comment box main comment karke hume bata sakte hain, friends is post ko share jarur kijiyega. Thanks..



Please Share This Post

Search How

No comments:

Post a Comment